mere  ḳhvāboñ  kā  kabhī  jab  āsmāñ  raushan  huā
rahguzār-e-shauq  kā  ek  ik  nishāñ  raushan  huā
ajnabī  ḳhushbū  kī  aahaT  se  mahak  uTThā  badan
qahqahoñ  ke  lams  se  ḳhauf-e-ḳhizāñ  raushan  huā
phir  mire  sar  se  tayaqqun  kā  parinda  uḌ  gayā
phir  mire  ehsās  meñ  tāza-gumāñ  raushan  huā
jaane  kitnī  gardanoñ  kī  ho  ga.iiñ  sham.eñ  qalam
tab  kahīñ  jā  kar  ye  tiira  ḳhāk-dāñ  raushan  huā
shahr  meñ  zindāñ  the  jitne  sab  munavvar  ho  ga.e
kis  jagah  dil  ko  jalāyā  thā  kahāñ  raushan  huā
jal  gayā  jab  yaas  ke  sholoñ  se  saarā  tan  'zakī'
tab  kahīñ  ummīd  kā  dhundlā  nishāñ  raushan  huā