tire  baġhair  kaTe  din  na  shab  guzartī  hai
hayāt  kis  se  kahūñ  kaise  ab  guzartī  hai
gumān  hotā  hai  mujh  ko  tumhāre  aane  kā
havā  idhar  se  dabe  paañv  jab  guzartī  hai
hamārā  kyā  hai  kisī  taur  kaT  hī  jā.egī
sukūñ  se  un  kī  to  shām-e-tarab  guzartī  hai
mujhe  vo  lamha  qayāmat  se  kam  nahīñ  hotā
koī  karāh  samā.at  se  jab  guzartī  hai
guzar  rahā  huuñ  jis  ehsās  ke  azaab  se  maiñ
qayāmat  aisī  kisī  dil  pe  kab  guzartī  hai
ye  rāh-e-shauq  hai  kuchh  ehtiyāt  hai  lāzim
'zakī'  sabā  bhī  yahāñ  bā-adab  guzartī  hai