be-makāñ  mere  ḳhvāb  hone  lage
ratjage  bhī  azaab  hone  lage
husn  kī  mahfiloñ  kā  vazn  baḌhā
jab  se  ham  bāryāb  hone  lage
hai  ajab  lams  un  ke  hāthoñ  kā
sañg-reze  gulāb  hone  lage
ab  pighalne  lage  haiñ  patthar  bhī
rābte  kāmyāb  hone  lage
merā  sach  bolnā  qayāmat  thā
kaise  kaise  itaab  hone  lage
zikr  thā  un  kī  bevafā.ī  kā
aap  kyuuñ  aab  aab  hone  lage
pur-sukūñ  hijr  sā.ateñ  dekhūñ
vasl  lamhe  azaab  hone  lage
ham  bhī  kahne  lage  haiñ  raat  ko  raat
ham  bhī  goyā  ḳharāb  hone  lage
kuchh  zabāñ  se  nikal  gayā  thā  yūñhī
kyuuñ  ḳhafā  aañ  janāb  hone  lage
ai  'zakī'  mujh  ko  mil  ga.ī  me.arāj
mere  sher  intiḳhāb  hone  lage