itāb-o-qahr  kā  har  ik  nishān  bolegā
maiñ  chup  rahā  to  shikasta  makān  bolegā
abhī  hujūm  hai  us  ko  julūs  banñe  de
tire  ḳhilāf  har  ik  be-zabān  bolegā
hamārī  chīḳh  kabhī  be-asar  nahīñ  hogī
zamīñ  ḳhamosh  sahī  āsmān  bolegā
jo  tum  subūt  na  doge  azaab  ke  din  kā
gavāh  ban  ke  ye  saarā  jahān  bolegā
kabhī  to  aa.egā  vo  vaqt  bhī  'zakī'  tāriq
yaqīn  ban  ke  hamārā  gumān  bolegā