bhare  to  kaise  parinda  bhare  uḌaan  koī
nahīñ  hai  tiir  se  ḳhālī  yahāñ  kamān  koī
thiiñ  āzmā.isheñ  jitnī  tamām  mujh  pe  huiiñ
na  bach  ke  jā.egā  ab  mujh  se  imtihān  koī
ye  totā  mainā  ke  qisse  bahut  purāne  haiñ
hamāre  ahd  kī  ab  chheḌo  dāstān  koī
na.e  zamāne  kī  aisī  kuchh  āñdhiyāñ  uTThīñ
rahā  safīne  pe  baaqī  na  bādbān  koī
bikhar  ke  rah  ga.iiñ  rishtoñ  kī  saarī  zanjīreñ
bachā  sakā  na  rivāyat  ko  ḳhāndān  koī
'zakī'  hamārā  muqaddar  haiñ  dhuup  ke  ḳheme
hameñ  na  raas  kabhī  aayā  sā.ebān  koī