Wali Uzlat

nayan mein KHun bhar aaya dil mein Khaar-e-gham chhupa shayad

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775

nayan meñ ḳhuuñ bhar aayā dil meñ ḳhār-e-ġham chhupā shāyad

huā is dam vo teġh-abrū kisī se āshnā shāyad

gale lagtā thā har gard-e-havā-āvurd se majnūñ

ki ḳhāk-e-kūcha-e-lailā le aa.ī ho sabā shāyad

qayāmat pā-namak hai ġhul divānoñ gulistāñ meñ

unhoñ ke zaḳhm-e-dil par shor-e-bulbul girā shāyad

hamāre haath ik ga.ī na.iiñ aur pech khātī hai

vo dām-e-zulf meñ taaza shikār-e-dil phañsā shāyad

bahut muñh par vo zulfeñ aaj bikhrātā hai ai 'uzlat'

vo gāloñ par kisī zaḳhm-e-dandāñ hai lagā shāyad

Top Urdushayar.com