Wali Uzlat

waqt bose ke mera munh uske lab se jun juDa

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775

vaqt bose ke mirā muñh us ke lab se juuñ juḌā

gard-e-ġham huī dil meñ mīThī jaise shakkar puḌā

be-ziyā sūraj ke phirne se ho jaise aa.ina

nūr-e-jāñ dil se gayā juuñ us ruḳh mujh se muḌā

kyā balā pathrāv thiiñ us sañg-dil gāliyāñ

le gayā saarā thā shīsha dil meñ liyāyā tuḌā

baaġh meñ jaave vo vahshī-chashm agar mast-e-sharāb

nargis us uupar nisār-e-sīm-o-zar deve uḌā

in laboñ ke bose ke lālach meñ jaltā hai bahisht

sun le 'uzlat' kaan dhar kahtā hai huqqa guḌguḌā

Top Urdushayar.com