Wali Uzlat

mujh qabr se yar kyunke jawe

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
mujh qabr se yaar kyūñke jaave
hai sham-e-mazār kyūñke jaave
rahtā hai raqīb nit tere sañg
chhātī kā pahāḌ kyūñke jaave
hairāñ hue bas-ki muñh terā dekh
gulshan se bahār kyūñke jaave
hai hijr kī raat sansanātī
nāgin se funkār kyūñke jaave
nit hai mirā kiina us ke dil meñ
patthar se sharār kyūñke jaave
kis vaj.h uThe vo muñh se ye dil
gulshan se hazār kyūñke jaave
gulzār ko fasl-e-gul meñ āshiq
pai lāla-e-dāġh-dār kyūñke jaave
hai bazm butoñ se shaiḳh mahrūm
jannat meñ himār kyūñke jaave
muñh se tere sarke zulf kis vaj.h
gulzār se maar kyūñke jaave
kyūñkar karūñ zabt-e-āh qātil
ghāyal se pukār kyūñke jaave
jiitā hai usī galī meñ 'uzlat'
jab jī diyā haar kyūñke jaave
Top Urdushayar.com