Wali Uzlat

yar uTh gae duniya se aghyar ki bari hai

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775

yaar uTh ga.e duniyā se aġhyār baarī hai

gul sair-e-chaman kar ga.e ab ḳhaar baarī hai

zāhid ne ibādat chhoḌ us zulf se uljhā hai

tasbīh shaiḳhī ga.ī zunnār baarī hai

us kākul-e-mushkīñ huī hai pareshāñ aa

sab shahr-e-ḳhutan luT ga.e tātār baarī hai

gulshan meñ ḳhirāmāñ ho ab burqa uThāyā hai

sab gir gayā sarvistāñ gulzār baarī hai

kar zaḳhmī nigāhoñ se ab dil pe uThāyā haath

nezoñ ga.ī naubat tarvār baarī hai

dil par haiñ jahāñ ke sab bāham kudūrat se

ā.īnoñ saafī ga.ī zañgār baarī hai

jhaḌ ga.e vo tabassum se gul ġhunche khaḌe haiñ sarv

tamkīñ ne chaman luuTā raftār baarī hai

un zulfoñ ke aqrab ne dil merā Dasā 'uzlat'

pīchhe paḌī hai choTī ab maar baarī hai

Top Urdushayar.com