Wali Uzlat

KHuda shahid buto do-jag se ye sauda hai nirwala

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
ḳhudā shāhid buto do-jag se ye saudā hai nirvālā
maiñ do bādām-e-chashm-e-lutf par dil bechne vaalā
dono aalam se mashrab mast-e-vahdat kā hai nirvālā
mire ek haath meñ tasbīh hai ik haath meñ pyālā
nahīñ is saal vo ḳhūnīñ-nayan bhūre alak vaalā
lago laalā ko aag aur ho jo nā-farmāñ kā muñh kaalā
vo shīrīñ-lab kā bosa kyūñke chhoḌe mujh sā matvālā
ki juuñ laala bichhaḌte us dahan se daaġh ho paalā
nahīñ fāriġh maiñ ba.ad-az-marg bhī soz-e-mohabbat se
mirā ḳhuuñ dāman-e-qātil meñ hogā daaġh juuñ laalā
vo nā-farmāñ banā ḳhūn-e-jigar se mai na pī uzlat
kabāb-e-dil kī bū aatī hai har pyāle se juuñ laalā
Top Urdushayar.com