Wali Uzlat

jab se dilbar ne aankh phera hai

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
jab se dilbar ne aañkh pherā hai
mujh ko daurān-e-sar ne gherā hai
kūcha-e-zulf nit añdherā hai
vahāñ siyah-baḳht dil kā Derā hai
vajd meñ haiñ divāne abr ko dekh
lailā-e-fasl-e-gul kā Derā hai
yakka āzād hai do aalam se
jo ki be-dām terā chīrā hai
gaal par hai kisī ke kaaT kā naqsh
muñh pe zulfeñ tabhī bikherā hai
nit bake hai ki bāolā 'uzlat'
ye na bolā kabhū ki merā hai
Top Urdushayar.com