tum  ne  pūchhā  nahīñ  kabhī  ham  ko
tum  se  ummīd  ye  na  thī  ham  ko
rote  dekhā  mujhe  to  farmāyā
aa  na  jaa.e  kahīñ  hañsī  ham  ko
jis  nazar  se  ki  chāhte  the  ham
tum  ne  dekhā  nahīñ  kabhī  ham  ko
haa.e  kahnā  kisī  kā  jaate  hue
kījiye  ruḳhsat  hañsī  ḳhushī  ham  ko
o  javānoñ  kī  jaan  ham  se  hijāb
yaad  hai  terī  kam-sinī  ham  ko
haa.e  kyā  bhole-pan  se  kahte  haiñ
ghūrtī  kyuuñ  hai  aarsī  ham  ko
muddatoñ  meñ  huzūr-e-yār  'sharaf'
aaj  laa.ī  hai  be-ḳhudī  ham  ko