har  jafā  un  kī  huī  ham  ko  vafā  se  baḌh  kar
ab  nikāleñ  vo  koī  zulm  jafā  se  baḌh  kar
sar-e-taslīm  hai  ḳham  terī  razā  ke  aage
de  vo  rutba  jo  hai  taslīm-o-razā  se  baḌh  kar
kam-sinī  jin  kī  hameñ  yaad  hai  aur  kal  kī  hī  baat
aaj  unheñ  dekhiye  kyā  ho  ga.e  kyā  se  baḌh  kar
allāh  allāh  ḳhusūsiyyat-e-zāt-e-hasnain
saarī  ummat  ke  haiñ  potoñ  se  navāse  baḌh  kar
tajraba  kar  liyā  aur  dekh  liyā  sab  ko  'sharaf'
koī  hamdard  nahīñ  yād-e-ḳhudā  se  baḌh  kar