āñkhoñ  ko  sūjhtā  hī  nahīñ  kuchh  sivā-e-dost
kānoñ  meñ  aa  rahī  hai  barābar  sadā-e-dost
kaisī  vafā  sitam  se  bhī  us  ne  uThā.e  haath
rah  rah  ke  yaad  ab  aatī  hai  tarz-e-jafā-e-dost
siine  meñ  dāġh-hā-e-mohabbat  kī  hai  bahār
phūlā  hai  ḳhuub  ye  chaman  dil-kushā-e-dost
dil  meñ  mire  jigar  meñ  mire  aañkh  meñ  mirī
har  jā  hai  dost  aur  nahīñ  miltī  hai  jā-e-dost
muddat  se  paañv  toḌe  hue  baiThe  the  'sharaf'
āḳhir  uḌā  ke  le  hī  chalī  ab  havā-e-dost