ik  ḳhalq  jo  har  samt  se  aa.ī  tire  dar  par
aayā  nazar-andāz  ḳhudā.ī  tire  dar  par
thī  jis  kī  tamannā  dil-e-mushtāq  ko  har  dam
vo  chiiz  agar  paa.ī  to  paa.ī  tire  dar  par
ushshāq  ke  aage  na  laḌā  ġhairoñ  se  āñkheñ
Dar  hai  ki  na  ho  jaa.e  laḌā.ī  tire  dar  par
dekhī  jo  yahāñ  aa  ke  jhaḌī  abr-e-karam  kī
sab  dil  kī  lagī  ham  ne  bujhā.ī  tire  dar  par
is  nafas  hī  kam-baḳht  ne  rokā  thā  'sharaf'  ko
dushvār  na  thī  varna  rasā.ī  tire  dar  par