na  pūchho  shab-e-vasl  kyā  ho  rahā  hai
gale  meñ  haiñ  bāñheñ  gilā  ho  rahā  hai
vo  iThlā  ke  merī  taraf  aa  rahe  haiñ
qayāmat  kā  va.ada  vafā  ho  rahā  hai
gale  par  jo  ruk  ruk  ke  chaltā  hai  ḳhanjar
ye  puurā  mirā  mudda.ā  ho  rahā  hai
mirī  be-ḳhudī  par  nazar  kyā  ho  us  ko
vo  ḳhud  mahv-e-nāz-o-adā  ho  rahā  hai
vo  ham-rāh  le  kar  ga.e  haiñ  adū  ko
zarā  ham  bhī  dekh  aa.eñ  kyā  ho  rahā  hai
tajāhul  ne  un  ke  hameñ  maar  Daalā
jab  aate  haiñ  kahte  haiñ  kyā  ho  rahā  hai
'sharaf'  tum  ne  badnām  use  kar  ke  chhoḌā
yahī  zikr  ab  jā-ba-jā  ho  rahā  hai