taḌap  ke  lauT  ke  aañsū  bahā  ke  dekh  liyā
lagī  na  dil  kī  tujhe  dil  lagā  ke  dekh  liyā
kisī  ne  daad  na  dī  kuchh  fasāna-e-dil  kī
unheñ  bhī  dard-e-mohabbat  sunā  ke  dekh  liyā
kise  umiid  thī  aaoge  tum  dam-e-āḳhir
baḌā  kamāl  kiyā  tum  ne  aa  ke  dekh  liyā
kahā  thā  maiñ  ne  ki  dushvār  dil  kā  lenā  hai
vo  bole  duur  se  mujh  ko  dikhā  ke  dekh  liyā
ġhazab  kiyā  ki  chakhā  kar  mai-e-suḳhan  kā  mazā
'sharaf'  se  shaḳhs  ko  be-ḳhud  banā  ke  dekh  liyā