Shola Kararvi

dard-e-dil ki unhen KHabar na hui

Shola Kararvi

Karari, Uttar pradesh, India

1901
dard-e-dil kī unheñ ḳhabar na huī
aah minnat-kash-e-asar na huī
apnī taqdīr raah par na huī
koī tadbīr kārgar na huī
jurm-e-ulfat se jhuk ga.iiñ āñkheñ
chaar un se mirī nazar na huī
naza.a meñ vo na aa.e bālīñ par
maut bhī merī mo'atabar na huī
dekhte haiñ sabhī nazar un kī
aur apnī nazar nazar na huī
yuuñ tamannā ke phuul murjhā.e
shāḳh-e-ummīd bārvar na huī
un se milne kī aarzū puurī
hashr se vo bhī peshtar na huī
hijr kī shab marīz-e-furqat ne
jaan de dī magar sahar na huī
aise jiine se maut behtar hai
zindagī zindagī agar na huī
saikḌoñ inqalāb aa.e magar
dil kī duniyā idhar-udhar na huī
laakh science ne taraqqī kī
dastaras maut par magar na huī
kyā kareñ sharh-e-hāl-e-dil 'sho.ala'
ġham kī rūdād muḳhtasar na huī
Top Urdushayar.com