Kamil Akhtar

ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai

Kamil Akhtar

rutoñ ke rañg badalte hue bhī banjar hai

vo ek ḳhaas ilāqa jo dil ke andar hai

ghaḌī ghaḌī mirī ā.ankhoñ meñ uḌ rahī hai dhuul

sadī sadī mirī raah meñ samundar hai

bujhā bujhā huā rahtā huuñ apne ḳhvāboñ meñ

dhuāñ dhuāñ mire jāgne manzar hai

ajiib ḳhvāb dekhā ki puure dariyā meñ

koī jahāz kahīñ hai na koī lañgar hai

badan pe TuuT bikharne ko hai kahīñ na kahīñ

hirās-o-ḳhauf saaya jo mere sar par hai

maiñ kis khoj meñ yuuñ bitā rahā huuñ janm

chhupā huā mire saa.e meñ kis paikar hai

sunā rahī hai havā apne safar-nāme

ajiib shor ghane jañgaloñ ke andar hai

Top Urdushayar.com