sahbā-e-nazar  ke  is  chhalkāne  ko  kyā  kahiye
us  shoḳh  kī  āñkhoñ  ke  paimāne  ko  kyā  kahiye
yuuñ  barq  ne  phūñkā  hai  sab  ḳhaak  hue  sapne
barbād  nasheman  ke  afsāne  ko  kyā  kahiye
de  kar  ġham-e-dil  ab  vo  bīmār-e-mohabbat  ko
samjhāte  haiñ  un  ke  is  samjhāne  ko  kyā  kahiye
ye  soz-e-mohabbat  hai  jab  sham.a  huī  raushan
jal  jaatā  hai  chupke  se  parvāne  ko  kyā  kahiye
baiThā  hai  abhī  aa  kar  uTh  kar  abhī  chal  degā
dīvāna  hai  dīvāna  dīvāne  ko  kyā  kahiye
hāthoñ  meñ  liye  patthar  phirte  haiñ  mire  pīchhe
apnoñ  kī  ye  hālat  hai  begāne  ko  kyā  kahiye
ronā  mujhe  aatā  hai  hālat  pe  tirī  'āfat'
ghar  kī  jo  ye  sūrat  hai  vīrāne  ko  kyā  kahiye