ab  mo'taqid-e-gardish-e-daurāñ  na  rahe  ham
qābil  tire  ai  dīda-e-jānāñ  na  rahe  ham
kab  mil  ke  unheñ  dil  kī  tamannā.eñ  bar  aa.iiñ
kab  un  se  judā  ho  ke  pareshāñ  na  rahe  ham
ye  baat  digar  hai  ki  na  the  rū-ba-rū  un  ke
kab  diid  kā  dil  meñ  liye  armāñ  na  rahe  ham
qismat  to  zarā  dekho  kab  aa.ī  haiñ  bahāreñ
jab  qābil-e-gul-gasht-e-gulistāñ  na  rahe  ham
saaqī  kī  nigāhoñ  ne  pilā  dī  hai  kuchh  aisī
jām-e-mai-e-gul-fām  ke  ḳhvāhāñ  na  rahe  ham
ab  dard  hī  rāhat  sī  hameñ  dene  lagā  hai
chāragaro  minnat-kash-e-darmāñ  na  rahe  ham
'āfat'  rah-e-ulfat  meñ  hañsī  aa.ī  thī  ik  din
ba.ad  us  ke  kabhī  ziist  meñ  ḳhandāñ  na  rahe  ham