asīrān-e-ishq-e-butāñ  aur  bhī  haiñ
nahīñ  maiñ  hī  mahv-e-fuġhāñ  aur  bhī  haiñ
abhī  ye  jafā  kā  hai  āġhāz  ai  dil
vafā  ke  abhī  imtihāñ  aur  bhī  haiñ
nahīñ  ik  falak  kī  hai  mujh  par  ināyat
mire  haal  par  mehrbāñ  aur  bhī  haiñ
hamīñ  se  hai  kyuuñ  laag  barq-e-tapāñ  ko
chaman  meñ  ka.ī  āshiyāñ  aur  bhī  haiñ
rah-e-ishq  meñ  miT  ga.e  ham  to  kyā  ġham
rah-e-ishq  meñ  kārvāñ  aur  bhī  haiñ
kahā  jab  se  hai  hāl-e-dil  un  se  apnā
vo  mujh  se  hue  bad-gumāñ  aur  bhī  haiñ
vatan  kī  taraqqī  pe  ḳhush  ho  na  'āfat'
abhī  be-kas-o-be-makāñ  aur  bhī  haiñ