nasīb  apnā  zarā  aazmā  ke  dekheñge
charāġh-e-shauq  havā  meñ  jalā  ke  dekheñge
machal  machal  ke  kahāñ  tak  ye  barq  girtī  hai
chaman  meñ  phir  se  nasheman  banā  ke  dekheñge
falak  ko  zid  hai  ki  ham  ko  rulā  ke  dekhegā
hameñ  ye  zid  hai  use  muskurā  ke  dekheñge
jhukā.e  baiThe  haiñ  ab  un  ke  dar  pe  sar  apnā
kabhī  to  vo  hameñ  āñkheñ  uThā  ke  dekheñge
mile  sakūñ  dil-e-muztar  ko  vo  jagah  hai  kahāñ
jahān-e-ġham  se  bhī  ham  duur  jā  ke  dekheñge
vo  bach  ke  jā.eñge  kab  tak  nazar  se  ai  'āfat'
ham  apne  dil  meñ  ab  un  ko  basā  ke  dekheñge