is  but  se  dil  lagā  ke  bahut  sochte  rahe
sabr-o-sukūñ  luTā  ke  bahut  sochte  rahe
jab  sāmnā  huā  to  zabāñ  ruk  ga.ī  mirī
vo  bhī  nazar  jhukā  ke  bahut  sochte  rahe
dīvāngī-e-shauq  meñ  apne  hī  haath  se
ghar  apnā  ham  jalā  ke  bahut  sochte  rahe
umDā  jo  abr  yaad  ne  un  kī  rulā  diyā
ḳhālī  subū  uThā  ke  bahut  sochte  rahe
kahte  kise  chaman  meñ  luTe  āshiyāñ  kī  baat
tinke  uThā  uThā  ke  bahut  sochte  rahe
dekhā  ye  jab  ki  yās-o-tabāhī  hai  hashr-e-ishq
aañsū  bahā  bahā  ke  bahut  sochte  rahe
'āfat'  bashar  ne  jab  bhī  bashar  par  kyā  sitam
ham  dukh  se  tilmilā  ke  bahut  sochte  rahe