Anwar Saharanpuri

aabaad ab na hoga mai-KHana zindagi ka

Anwar Saharanpuri

ābād ab na hogā mai-ḳhāna zindagī kā
labrez ho chukā hai paimāna zindagī kā
aa ḳhvāb meñ kisī din ai rashk-e-māh-e-tābāñ
kar de zarā munavvar kāshāna zindagī kā
vo taaza dāstāñ huuñ marne ke ba.ad un ko
aa.egā yaad merā afsāna zindagī kā
parda zarā uThā de bāñkī idāroñ vaale
afsāna kahne aayā dīvāna zindagī kā
ummīdeñ miT na jaa.eñ nazreñ na pher zālim
barbād kar na merā kāshāna zindagī kā
hai vaqt-e-naz.a zālim bālīñ pe dekh kar
dam toḌtā hai kaise dīvāna zindagī kā
ḳhūn-e-jigar bahā kar āñkhoñ se apnī 'anvar'
rañgīn kar rahā huuñ afsāna zindagī kā
Top Urdushayar.com