Hameed Jalandhari

kal sham lab-e-baam jo wo jalwa-numa tha

Hameed Jalandhari

kal shaam lab-e-bām jo vo jalva-numā thā
kis shauq se maiñ duur khaḌā dekh rahā thā
jab dost bhī dushman kā taraf-dār huā thā
Thankā thā usī din sar-e-mahfil mirā māthā
gūñjā huā ik naġhma sar-e-arz-o-samā thā
naġhma thā ki biitī huī sadiyoñ kī sadā thā
bhūlī nahīñ ujḌe hue gulshan kī bahāreñ
haañ yaad haiñ vo din ki hamārā bhī ḳhudā thā
har barg se aatī thī gul-o-lāla kī ḳhushbū
har mauj-e-havā meñ nafas-e-yār ghulā thā
tāsīr-ba-daman thiiñ javānī kī duā.eñ
har aah asar-ḳhez thī har naala rasā thā
jhapkī thī zarā aañkh ki barham huī mahfil
ham ne abhī kuchh un se kahā thā na sunā thā
jis baat kā iz.hār thā iz.hār-e-haqīqat
dekhā to usī baat pe hañgāma bapā thā
vo darpai-e-āzār haiñ ahbāb muḳhālif
ye din bhī ġharīboñ ke muqaddar meñ likhā thā
kyā dekh liyā aaj ki jī soch rahā hai
ye vāqi.a yūñhī kabhī pahle bhī huā thā
ham bazm se jā.eñge to ahbāb kaheñge
ik shā.ir-e-āvāra yahāñ naġhma-sarā thā
begāna-vashī kam na huī aap kī us se
har chand 'hamīd' aap kā pāband-e-vafā thā
Top Urdushayar.com