Hameed Jalandhari

kal sham lab-e-baam jo wo jalwa-numa tha

Hameed Jalandhari

kal shaam lab-e-bām jo vo jalva-numā thā

kis shauq se maiñ duur khaḌā dekh rahā thā

jab dost bhī dushman taraf-dār huā thā

Thankā thā usī din sar-e-mahfil mirā māthā

gūñjā huā ik naġhma sar-e-arz-o-samā thā

naġhma thā ki biitī huī sadiyoñ sadā thā

bhūlī nahīñ ujḌe hue gulshan bahāreñ

haañ yaad haiñ vo din ki hamārā bhī ḳhudā thā

har barg se aatī thī gul-o-lāla ḳhushbū

har mauj-e-havā meñ nafas-e-yār ghulā thā

tāsīr-ba-daman thiiñ javānī duā.eñ

har aah asar-ḳhez thī har naala rasā thā

jhapkī thī zarā aañkh ki barham huī mahfil

ham ne abhī kuchh un se kahā thā na sunā thā

jis baat iz.hār thā iz.hār-e-haqīqat

dekhā to usī baat pe hañgāma bapā thā

vo darpai-e-āzār haiñ ahbāb muḳhālif

ye din bhī ġharīboñ ke muqaddar meñ likhā thā

kyā dekh liyā aaj ki soch rahā hai

ye vāqi.a yūñhī kabhī pahle bhī huā thā

ham bazm se jā.eñge to ahbāb kaheñge

ik shā.ir-e-āvāra yahāñ naġhma-sarā thā

begāna-vashī kam na huī aap us se

har chand 'hamīd' aap pāband-e-vafā thā

Top Urdushayar.com