gā  rahā  huuñ  ḳhāmushī  meñ  dard  ke  naġhmāt  maiñ
ban  gayā  ik  sāhil-e-vīrāñ  kī  tanhā  raat  maiñ
ek  do  sajde  zarā  shahr-e-nigārāñ  kī  taraf
ai  ġham-e-hastī  Thahar  chaltā  huuñ  tere  saath  maiñ
zindagī  merī  tamannāoñ  mire  ḳhvāboñ  kā  ruup
phuul  maiñ  huuñ  rañg  maiñ  huuñ  abr  maiñ  barsāt  maiñ
ik  shagufta  dard  ik  sho.aloñ  meñ  bujhtī  chāñdnī
ajnabī  shahroñ  se  laayā  huuñ  yahī  sauġhāt  maiñ
bārhā  is  sādgī  par  ḳhud  hañsī  aa.ī  mujhe
kar  rahā  huuñ  kis  zamāne  meñ  vafā  kī  baat  maiñ
har  ubhartī  lau  se  raushan  ho  gayā  merā  'zamīr'
bik  gayā  har  muskurātī  raushnī  ke  haath  maiñ