yaqīñ  ke  bhī  kyā  kyā  hijābāt  haiñ
haqīqat  kī  zid  e.atiqādāt  haiñ
taraqqī  ke  raste  na  khulte  magar
ye  sab  dostoñ  kī  ināyāt  haiñ
ye  zanjīr  bhī  itnī  mohkam  nahīñ
haqā.eq  bhī  zaatī  ḳhayālāt  haiñ
koī  shaḳhs  ḳhūbī  se  ḳhālī  nahīñ
har  ik  shaḳhs  ke  apne  hālāt  haiñ
falak  ko  bhī  dekheñge  lekin  abhī
zamīñ  par  bhī  kitne  maqāmāt  haiñ
adā  kuchh  kiyā  nasl-e-fardā  kā  qarz
ki  ham  ai  zamāne  tire  saath  haiñ