ham  agar  dasht-e-junūñ  meñ  na  ġhazal-ḳhvāñ  hote
shahr  hote  bhī  to  āvāz  ke  zindāñ  hote
zindagī  tere  taqāze  agar  āsāñ  hote
kitne  ābād  jazīre  haiñ  ki  vīrāñ  hote
tū  ne  dekhā  hī  nahīñ  pyaar  se  zarroñ  kī  taraf
aañkh  hotī  to  sitāre  bhī  numāyāñ  hote
ārzūoñ  se  jo  paimān-e-vafā  ham  rakhte
sānehe  zaḳhm  bhī  hote  to  gulistāñ  hote
ishq  hī  sho.ala-e-imkān-e-sahar  hai  varna
ḳhvāb  ta.abīr  se  pahle  hī  pareshāñ  hote
māzī-o-dosh  kā  har  daaġh  hai  fardā  kā  charāġh
kaash  ye  shām-o-sahar  sirf  dil-o-jāñ  hote
zabt-e-tūfāñ  kī  tabī.at  hī  kā  ik  ruḳh  hai  'zamīr'
mauj  āvāz  badal  letī  hai  tūfāñ  hote