baḌī  hairat  se  arbāb-e-vafā  ko  dekhtā  huuñ  maiñ
ḳhatā  ko  dekhtā  huuñ  aur  sazā  ko  dekhtā  huuñ  maiñ
abhī  kuchh  der  hai  shāyad  mire  māyūs  hone  meñ
abhī  kuchh  din  fareb-e-rahnumā  ko  dekhtā  huuñ  maiñ
ḳhudā  mālūm  dil  ko  justujū  hai  kin  jazīroñ  kī
na  jaane  kin  sitāroñ  kī  ziyā  ko  dekhtā  huuñ  maiñ
ye  kyā  ġham  hai  mire  ash.ār  ko  nam  kar  diyā  kis  ne
ye  dil  meñ  kis  samundar  kī  ghaTā  ko  dekhtā  huuñ  maiñ
'zamīr'  ik  qaid-e-nā-mahsūs  ko  mahsūs  kartā  huuñ
kisī  nādānī-e-zanjīr-e-pā  ko  dekhtā  huuñ  maiñ