dard  meñ  lazzat  bahut  ashkoñ  meñ  ra.anā.ī  bahut
ai  ġham-e-hastī  hameñ  duniyā  pasand  aa.ī  bahut
ho  na  ho  dasht-o-chaman  meñ  ik  ta.alluq  hai  zarūr
bād-e-sahrā.ī  bhī  ḳhushbū  meñ  uThā  laa.ī  bahut
maslahat  kā  jabr  aisā  thā  ki  chup  rahnā  paḌā
varna  uslūb-e-zamāna  par  hañsī  aa.ī  bahut
be-sahāroñ  kī  mohabbat  be-navāoñ  kā  ḳhulūs
aah  ye  daulat  ki  insānoñ  ne  Thukrā.ī  bahut
be-ḳhayālī  meñ  bhī  kitne  fāsle  tai  ho  ga.e
be-irāda  bhī  ye  duniyā  duur  le  aa.ī  bahut
apnī  fitrat  meñ  bhī  raushan  hoñge  lekin  ai  'zamīr'
merī  rātoñ  se  bhī  tāroñ  ne  chamak  paa.ī  bahut