Sahir Dehlavi

chashm-e-mast-e-saqi se dil hua KHarab-abaad

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962

chashm-e-mast-e-sāqī se dil huā ḳharāb-ābād

mai-kada hai aur mastī ab to harche bādā-bād

mil-milā ke donoñ ne dil ko kar diyā barbād

husn ne kiyā be-ḳhud ishq ne kiyā āzād

merā TūTā-phūTā dil ban gayā vatan us

be-vatan thā āvāra ishq-e-ḳhānumā-barbād

mastī-e-anā lailā kār-e-ishq-e-majnūñ hai

kaif-e-vasl-e-shīrīñ hai naqsh-e-tesha-e-farhād

jism-o-jān ilhāq vaj.h-e-ranj-o-rāhat hai

band-e-shādī-o-ġham se jān-e-pāk hai āzād

shauq aur tanaffur meñ raaz us pinhāñ hai

hai koī agar dil-gīr hai agar koī dil-shād

ġhaflat aur nādānī vaj.h-e-shauq-o-nafrat hai

hai jo ain-e-irfāñ meñ be-sabāt-o-be-buniyād

band-e-ranj-o-rāhat se fikr-e-shauq-o-nafrat se

qaid-e-jehl-o-ġhaflat se ḳhud-shanās hai āzād

jalva us ai 'sāhir' chashm-e-pāk-bīñ se dekh

husn-e-lā-yāzlī se shash-jahāt haiñ ābād

Top Urdushayar.com