kho.e  ga.e  to  aa.ine  ko  mo'atabar  kiyā
ham  ne  tirī  talāsh  meñ  apnā  safar  kiyā
be-ghar  musāfiroñ  ke  muqaddar  meñ  ḳhaak  hai
so  ham  ne  gard-e-rāh  ko  dīvār-o-dar  kiyā
us  markaz-e-jamāl  ke  ham  bhī  asiir  haiñ
jis  markaz-e-jamāl  ne  har  dil  meñ  ghar  kiyā
shahr-e-vafā  ḳhamosh  hai  patthar  bane  baġhair
kaisā  fareb-e-koh-e-nidā  ne  asar  kiyā
baazū  sameTte  haiñ  daraḳhtoñ  pe  kuchh  tuyūr
shāyad  kisī  ne  tazkira-e-bāl-o-par  kiyā
yādoñ  kī  bhiiḌ  meñ  bhī  hai  tanhā.ī  ham-safar
us  kī  ho  ḳhair  jis  ne  hameñ  dar-ba-dar  kiyā