nūr-e-īmāñ  surma-e-chashm-e-dil-o-jāñ  kījiye
parda-dār-e-husn-e-yaktā  chashm-e-hairāñ  kījiye
mushkilāt-e-rāh  ko  himmat  se  āsāñ  kījiye
tai  fanā  kī  manzileñ  uftān-o-ḳhīzāñ  kījiye
be-hijābāna  ḳhud-ārā.ī  ke  sāmāñ  kījiye
maz.har-e-shān-e-tajallī  bazm-e-imkāñ  kījiye
haiñ  man-o-tū  jalva-e-hā-e-husn-e-vahdat  kā  hijāb
sham-e-bazm-e-ḳhud-shanāsī  nūr-e-irfāñ  kījiye
jalva-hā-e-tūr  kī  takrār  yā  tajdīd  ho
lan-tarānī  se  masāvī  kufr-o-īmāñ  kījiye
shirk  gar  manzūr  hai  aur  hai  anal-haq  nā-qubūl
daar  par  mansūr  ko  khichvā.iye  haañ  kījiye
ḳhud-numā.ī  naaz  hai  andāz  ḳhud-ārā.iyāñ
jalva-e-jāñ  se  munavvar  qalb-e-insāñ  kījiye
kaif-e-mastī  meñ  ki  irfān-e-junūñ  meñ  al-ġharaz
vā  har  ik  band-e-naqāb-e-rū-e-jānāñ  kījiye
kar  diyā  rahmat  ne  nūrānī  mirā  zulmat-kada
nosh-e-jāñ  jām-e-safā  se  āb-e-haivāñ  kījiye
rahravān-e-jāda-e-ishq-o-fanā  mansūr  haiñ
ārzū-hā-e-do-ālam  un  pe  qurbāñ  kījiye
ham  haiñ  hindī  aur  hamārā  mulk  hai  hindostāñ
hind  meñ  paidā  tasavvuf  ke  zabāñ-dāñ  kījiye
mastiyāñ  'sāhir'  kī  haiñ  jām-e-mai-e-tauhīd  se
ho  sake  to  aise  kāfir  ko  musalmāñ  kījiye