Iqbal Haider

jo tere dard hain wahi sab mere dard hain

Iqbal Haider

jo tere dard haiñ vahī sab mere dard haiñ

kahne ko apnī apnī jagah fard fard haiñ

dhundlā ga.e haiñ aks nazar hai bhañvar bhañvar

ḳhvāboñ meñ bhī ḳhayāl ke ā.īñe gard haiñ

peshāniyoñ pe vaqt shikan-dar-shikan nahīñ

chehra-ba-chehra likhe hue dil ke dard haiñ

ik dūsre ko jaan ke pahchānte nahīñ

ham log saare ek qabīle ke fard haiñ

bhīgī hatheliyoñ se na paḌh kal zindagī

gahrī har ik lakīr sahī haath sard haiñ

ye ḳhushk lab ye paañv ke chhāle ye sar dhuul

ham shahar fazā meñ bhī sahrā-navard haiñ

'iqbāl' jab se phuul haiñ gul-dān ke asiir

ḳhushbū uḌī uḌī hai aur rañg zard haiñ

Top Urdushayar.com