Sahir Dehlavi

faza-e-alam-e-qudsi mein hai nashw-o-numa meri

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
fazā-e-ālam-e-qudsī meñ hai nashv-o-numā merī
mukāfāt-e-amal se duur hai bīm-o-rajā merī
sharī.at hai azal se mohr-e-paimān-e-vafā merī
tarīqat ḳhātim-e-ehrām-e-taslīm-o-razā merī
haqīqat hai savād-e-ḳhātir-e-be-mudda.ā merī
harīm-e-ma.arifat-da.a mā-kadar ḳhud nā-safā merī
tirī zāt-e-muqaddas hai mubarrā shirk-e-ġhairī se
ki nūr-e-zāt meñ sāya-sifat hastī hai lā merī
jamāl-e-lā-yazālī shash-jihat se rūnumā dekhā
banī ā.īna-dār-e-husn chashm-e-haq-numā merī
kisī kā husn tūr-afroz mahv-e-lan-tarānī hai
dalīl nīstī hai hastī-e-ishq-o-fanā merī
shuhūd-e-haq hai mā-bain-e-ġhuyūb ik jalva-e-qudrat
hayāt-e-jāvidāñ hai ibtidā aur intihā merī
azal se mahv-e-dīdār-e-jamāl-e-jalva-ārā huuñ
nazar bil-ġhair ho gar ho nazar meñ mā-sivā merī
hadīs-e-ishq bālā-tar hai harf-o-saut se 'sāhir'
kahāñ maiñ aur kahāñ taqdīr-e-fikr-e-nā-rasā merī
Top Urdushayar.com