fazā-e-ālam-e-qudsī  meñ  hai  nashv-o-numā  merī
mukāfāt-e-amal  se  duur  hai  bīm-o-rajā  merī
sharī.at  hai  azal  se  mohr-e-paimān-e-vafā  merī
tarīqat  ḳhātim-e-ehrām-e-taslīm-o-razā  merī
haqīqat  hai  savād-e-ḳhātir-e-be-mudda.ā  merī
harīm-e-ma.arifat-da.a  mā-kadar  ḳhud  nā-safā  merī
tirī  zāt-e-muqaddas  hai  mubarrā  shirk-e-ġhairī  se
ki  nūr-e-zāt  meñ  sāya-sifat  hastī  hai  lā  merī
jamāl-e-lā-yazālī  shash-jihat  se  rūnumā  dekhā
banī  ā.īna-dār-e-husn  chashm-e-haq-numā  merī
kisī  kā  husn  tūr-afroz  mahv-e-lan-tarānī  hai
dalīl  nīstī  hai  hastī-e-ishq-o-fanā  merī
shuhūd-e-haq  hai  mā-bain-e-ġhuyūb  ik  jalva-e-qudrat
hayāt-e-jāvidāñ  hai  ibtidā  aur  intihā  merī
azal  se  mahv-e-dīdār-e-jamāl-e-jalva-ārā  huuñ
nazar  bil-ġhair  ho  gar  ho  nazar  meñ  mā-sivā  merī
hadīs-e-ishq  bālā-tar  hai  harf-o-saut  se  'sāhir'
kahāñ  maiñ  aur  kahāñ  taqdīr-e-fikr-e-nā-rasā  merī