go  ba-nām  ik  zabān  rakhtī  hai  sham.a
kab  tirā  sā  bayān  rakhtī  hai  sham.a
tere  mukhḌe  kā  sā  namak  ma.alūm
ek  phīkī  sī  aan  rakhtī  hai  sham.a
sarfaroshī  ke  muḳhtara.a  ham  haiñ
go  ab  ūñchī  dukān  rakhtī  hai  sham.a
daaġh  par  daaġh  uThā.e  dil  kī  tarah
kab  ye  tāb-o-tavān  rakhtī  hai  sham.a
rove  go  tuuda  tuuda  kab  aise
dīda-e-ḳhūñ-fishān  rakhtī  hai  sham.a
aah  is  dāġh-e-dil  se  jis  se  ki  dast
nit  sū-e-āsmān  rakhtī  hai  sham.a
kyūñki  parvāna  rashk  se  na  jale
sab  ke  aage  fulān  rakhtī  hai  sham.a
khol  mukhḌā  ki  hai  ye  mujh  ko  yaqīñ
tujh  se  da.avā  gumān  rakhtī  hai  sham.a
ye  dil  afsurda  vaa.e  qismat-e-bad
soz  tā-ustuḳhvān  rakhtī  hai  sham.a
rātoñ  jaagī  hai  misl  'qā.em'  kī
tab  ye  soz-e-nihān  rakhtī  hai  sham.a