shikva  na  baḳht  se  hai  ne  āsmāñ  se  mujh  ko
pahuñchī  jo  kuchh  aziyyat  apne  gumāñ  se  mujh  ko
qāsid  kahe  to  hai  tū  pūchhe  thā  haal  terā
tasdīq  is  kī  lekin  hove  kahāñ  se  mujh  ko
āshiq  na  thā  maiñ  bulbul  kuchh  gul  ke  rañg-o-bū  kā
ik  uns  ho  gayā  thā  is  gulsitāñ  se  mujh  ko
jaatā  huuñ  jis  jagah  ab  vaañ  ḳhānumāñ  hai  merā
khoyā  hai  ai  falak  tiiñ  go  ḳhānumāñ  se  mujh  ko
bā-vasf-e-be-kamālī  izzat-talab  huuñ  'qā.em'
darḳhur  na  ho  so  kyūñ-kar  ahl-e-jahāñ  se  mujh  ko