nahīñ  band-e-qabā  meñ  tan  hamārā
hai  uryānī  hī  pairāhan  hamārā
rakheñ  apne  ta.iiñ  ham  kis  tarah  dost
ho  tujh  sā  shaḳhs  jab  dushman  hamārā
haiñ  ye  kāhīda  ham  ġham  se  ki  juuñ  sham.a
hai  ek  ab  jeb  aur  dāman  hamārā
nazar  meñ  ka.aba  kyā  Thahre  ki  yaañ  dair
rahā  hai  muddatoñ  maskan  hamārā
chaman  meñ  gar  hai  tū  bulbul  to  min-ba.ad
haiñ  ham  aur  gosha-e-gulḳhan  hamārā
bahār-e-dāġh  thī  jab  dil  pe  'qā.em'
ajab  sarsabz  thā  gulshan  hamārā