phūTī  bhalī  vo  aañkh  jo  aañsū  se  tar  nahīñ
kis  kaam  hai  vo  siip  ki  jis  meñ  guhar  nahīñ
mun.im  hai  kyā  ki  jis  se  koī  bahra-var  nahīñ
kis  kaam  kā  vo  naḳhl  ki  jis  meñ  samar  nahīñ
banda  huuñ  be-ḳhudī  kā  maiñ  us  mast  kī  jise
āshob-e-roz-e-hashr  se  aslan  ḳhabar  nahīñ
yā-rab  ḳhalish  se  aah  kī  ho  jo  na  bahra-mand
jis  dil  kā  takiya-gāh  sar-e-neshtar  nahīñ
ai  dil  ba-rañg-e-ġhuncha  na  mil  gul-ruḳhoñ  se  tū
apnī  girah  meñ  un  ke  khilāne  ko  zar  nahīñ
saaqī  hai  shab  kī  dast-darāzī  kā  kyā  gila
pyāre  jo  be-ḳhudī  meñ  huā  mo'tabar  nahīñ
nālāñ  na  huuñ  galī  meñ  tirī  maiñ  to  kyā  karūñ
murġh-e-chaman  meñ  naala  sivā  kuchh  hunar  nahīñ
joñ  ashk  ek  laġhzish-e-pā  meñ  ga.e  haiñ  paar
hastī  se  tā-ba-nīstī  chandāñ  safar  nahīñ
'qā.em'  jo  is  tarah  tū  phire  hai  ḳharāb-o-ḳhvār
ai  ḳhānumāñ-ḳharāb  magar  tere  ghar  nahīñ