yaañ  sadā  nīsh-e-balā  vaqf-e-jigar-reshī  hai
kiije  kyā  jaan  mirī  ālam-e-darveshī  hai
apne  maz.hab  meñ  qarābat  nahīñ  ajdād  kī  shart
tujh  se  nisbat  hai  jise  us  se  hameñ  ḳhveshī  hai
mujh  se  ik  ḳhasta  se  nāhaq  ye  shab  o  roz  ḳhalish
ai  jafā-pesha  ye  kyā  nahv-e-sitam-keshī  hai
baat  hai  shohra-nasībī  kī  nirālī  varna
mujh  pe  kis  chiiz  meñ  majnūñ  ke  ta.iiñ  beshī  hai
gauhar-e-ashk  ko  nishmurda  tū  'qā.em'  na  bikher
aadmī  hai  va  miyāñ  āqbit-andeshī  hai