jaate  hī  ho  gar  ḳhvāh-naḳhvāh
fabihā  behtar  bismillāh
yak  shab  dekhī  jin  ne  vo  zulf
lākhoñ  dekhe  roz-e-siyāh
itnī  to  mat  ho  jald  nasīm
ham  bhī  chaman  tak  haiñ  ham-rāh
dushman  rahveñ  baada  baġhair
tā  hai  ḳhirqa  aur  kulāh
kauñde  hai  dil  par  barq  sī  aaj
pesh-e-nazar  hai  kis  kī  nigāh
va.ada  kar  ke  raat  kā  tum
ḳhuub  hī  aa.e  vaah  jī  vaah
'qā.em'  se  koī  ho  hai  ḳhafā
banda,  ḳhādim,  daulat-ḳhvāh