dekhā  kabhū  na  us  dil-e-nāshād  kī  taraf
kartā  rahā  tū  apnī  hī  bedād  kī  taraf
jis  gul  ne  sun  ke  nāla-e-bulbul  uḌā  diyā
rakhtā  hai  gosh  kab  mirī  fariyād  kī  taraf
muuñd  ai  par-e-shikasta  na  chāk-e-qafas  ki  ham
Tuk  yaañ  ko  dekh  lete  haiñ  sayyād  kī  taraf
kahte  haiñ  girya  ḳhāna-e-dil  kar  chukā  ḳharāb
aatā  hai  chashm  ab  tirī  buniyād  kī  taraf
liijo  ḳhabar  mire  bhī  dil-e-zār  kī  nasīm
jaave  agar  tū  us  sitam-ābād  kī  taraf
'qā.em'  tū  is  ġhazal  ko  yūñhī  sarsarī  hī  kah
honā  paḌegā  hazrat-e-ustād  kī  taraf