aage  kuchh  us  ke  zikr-e-dil-e-zār  mat  karo
sab  ḳhairiyat  hai  us  se  kuchh  iz.hār  mat  karo
jaane  do  jo  nasīb  meñ  honā  thā  so  huā
yaaro  ḳhudā  ke  vāste  takrār  mat  karo
ā.īna  le  ke  pahle  tanik  saj  to  dekh  lo
milne  kā  ġhair  ke  abhī  inkār  mat  karo
sar  chaḌh  rahā  hai  kaal  yūñhī  āshiqoñ  ke  yaañ
paTTī  se  tum  ye  baal  numūdār  mat  karo
ai  āh-o-nāla  chhup  ke  maiñ  aayā  huuñ  is  jagah
aalam  ko  shor  kar  ke  ḳhabar-dār  mat  karo
apnī  bisāt  meñ  to  yahī  jins-e-dil  hai  yaañ
go  ab  pasand  is  ko  ḳharīdār  mat  karo
pyāre  kamar  kahāñ  hai  tumhāre  yūñhī  ba-zan
sun  kar  kisī  se  jhuuT  par  isrār  mat  karo
'qā.em'  vo  tab  kahe  thā  shab  ahvāl-e-ḳhalq  dekh
mujh  sā  to  haq  kisī  ko  trahdār  mat  karo