Qayem Chandpuri

ji mein chuhlen thin jo kuchh so to gain yar ke sath

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
jī meñ chuhleñ thiiñ jo kuchh so to ga.iiñ yaar ke saath
sar paTaknā hī paḌā ab dar-o-dīvār ke saath
ik hamīñ ḳhaar the āñkhoñ meñ sabhoñ kī so chale
bulbulo ḳhush raho ab tum gul-o-gulzār ke saath
ḳhār-e-mardūd-e-chaman mujh ko kiyā roz-e-azal
jin ne bhejā hai tujhe gūna-e-gulzār ke saath
maiñ divānā huuñ sadā kā mujhe mat qaid karo
jī nikal jā.egā zanjīr kī jhankār ke saath
yaaro kahte the jo tum lāla-o-gul hai so kahāñ
sar paTakne to na aayā thā meñ kohsār ke saath
haa.e sayyād ye insāf se tere hai ba.iid
yaañ talak kiije sitam apne giraftār ke saath
garche bulbul huuñ maiñ 'qā.em' vale is baaġh ke biich
farq koī na kare gul ko jahāñ ḳhaar ke saath
Top Urdushayar.com