paḌh  ke  qāsid  ḳhat  mirā  us  bad-zabāñ  ne  kyā  kahā
kyā  kahā  phir  kah  but-e-nā-mehrbāñ  ne  kyā  kahā
ġhair  se  milnā  tumhārā  sun  ke  go  ham  chup  rahe
par  sunā  hogā  ki  tum  ko  ik  jahāñ  ne  kyā  kahā
gāliyoñ  kī  jhaaḌ  bāñdhī  qasd-e-sargoshī  meñ  raat
kyā  kahā  chāhe  thā  maiñ  us  bad-gumāñ  ne  kyā  kahā
sab  ḳhirāj-e-misr  de  kar  thā  zuleḳhā  ko  ye  soch
mol  yūsuf  se  pisar  kā  kārvāñ  ne  kyā  kahā
aah  ai  murġh-e-chaman  kuchh  tū  bhī  vāqif  hai  ki  sub.h
gul  ne  kyā  pūchhā  thā  hañs  kar  bāġhbāñ  ne  kyā  kahā
phir  lahū  Tapke  hai  pyāre  aaj  kuchh  bātoñ  ke  biich
sach  kaho  lab  se  tumhāre  rañg-e-pān  ne  kyā  kahā
'qā.em'  us  kūche  se  shab  ġhamgīñ  na  aatā  thā  yūñhī
kyā  kahūñ  tujh  se  ki  us  ko  pāsbāñ  ne  kyā  kahā