Qayem Chandpuri

le chuko dil jo nigah ko to ye dushwar nahin

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794

le chuko dil jo nigah ko to ye dushvār nahīñ

lek tum dekhte phirte ho ḳharīdār nahīñ

go ki musharif-ba-halākat huuñ maiñ is baar pe shoḳh

to ayādat ko gar aave to kuchh āzār nahīñ

tañg to ham ko ai jaib kare hai lekin

uTh gayā haath gar apnā to phir ik taar nahīñ

go subuk mujh ko zamāne ne kiyā hai lekin

ye bhī hai shukr kisī dil to maiñ baar nahīñ

majlis-e-mai se mushābah hai ḳharābāt-e-jahāñ

jaan kar yaañ jo na ho mast so hoshyār nahīñ

har bad o nek jahāñ apnī jagah hai matlūb

kaun uzv badan meñ hai ki darkār nahīñ

mai tauba ko to muddat huī 'qā.em' lekin

be-talab ab bhī jo mil jaa.e to inkār nahīñ

Top Urdushayar.com