sahrā  pe  gar  junūñ  mujhe  laave  itaab  meñ
khīñchūñ  har  ek  ḳhaar  ko  pā-e-hisāb  meñ
is  barq  kī  tarah  se  ki  ho  vo  sahāb  meñ
ātish  dī  baḳht-e-bad  ne  mujhe  ain  aab  meñ
dekhī  thī  zulf  raat  kisī  kī  maiñ  ḳhvāb  meñ
ab  tak  hai  baal  baal  mirā  pech-o-tāb  meñ
Tuk  ġhaur  kar  tū  bū-qalmoñ  kā  falak  ke  Dol
ik  rañg  hai  nayā  hī  har  ik  inqalāb  meñ
us  shola-ḳhū  se  kasb-e-harārat  kare  hai  daaġh
zarra  hai  jis  kā  soz-e-dil-e-āftāb  meñ
mai  pī  jo  chāhe  ātish-e-dozaḳh  se  tū  najāt
jaltā  nahīñ  vo  uzv  jo  tar  ho  sharāb  meñ
juuñ  mauj  mujh  se  mūjib-e-be-tāqatī  na  pūchh
ik  umr  hai  ki  huuñ  maiñ  isī  iztirāb  meñ
qaazī  ḳhabar  le  mai  ko  bhī  likkhā  hai  vaañ  mubāh
rishvat  kā  hai  javāz  tirī  jis  kitāb  meñ
roz-e-shumār  go  ho  mire  saath  bāz-purs
maiñ  kyā  huuñ  aur  mere  gunah  kis  hisāb  meñ
ye  sar-kashī  hai  utnī  tanik  mā.egī  pe  kyā
jhamkā  nahīñ  hai  bahr  agar  is  sahāb  meñ
kyā  kiije  hove  chashm  miyāñ  terī  hī  jo  kor
zāhir  hai  varna  husn  vahī  har  naqāb  meñ
nāseh  na  taaza  ishq  kī  maiñ  vaz.a  kī  hai  raah
har  kuchh  kare  hai  aadmī  ahd-e-shabāb  meñ
qaa.em  hai  ye  bhī  taur  koī  zindagī  kā  yaañ
guzrī  tamām  umr  tirī  ḳhūr-o-ḳhvāb  meñ
'qā.em'  ho  kis  tarah  se  baham  shakl-e-iḳhtilāt
vo  is  ġhurūr-e-nāz  meñ  ham  is  hijāb  meñ